Milna tha ittefaq, bichhadna naseeb tha Wo itni door ho gaya jitna qareeb tha



ملنا تھا اتفاق، بچھڑنا نصیب تھا
وہ اتنی دور ہو گیا جتنا قریب تھا

Milna tha ittefaq, bichhadna naseeb tha
Wo itni door ho gaya jitna qareeb tha

 
میں اس کو دیکھنے کو _ ترستی ہی رہ گئی
جس شخص کی ہتھیلی پہ میرا نصیب تھا

Main us ko dekhne ko tarasti hi reh gaiy
Jis shakhs ki hatheli pe mera naseeb tha

 
بستی کے سارے لوگ ہی آتش پرست تھے
گھر جل رہا تھا اور سمندر قریب تھا

Basti ke sare loag hi atish parast thay
Ghar jal raha tha aur samundar qareeb tha

 
دفنا دیا گیا مجھے چاندی کی قبر میں
میں جس کو چاہتی تھی، وہ لڑکا غریب تھا

Dafna dia gaya mujhe chandi ki qabr mein
Main jis ko chahti thi, wo ladka ghareeb tha

انجم رہبر
Anjam Rehbar


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo