Na hara hai ishq aur na duniya thaki hai Diya jal raha hai hawa chal rahi hai



نہ ہارا ہے عشق اور نہ دنیا تھکی ہے
دیا جل رہا ہے ہوا چل رہی ہے

سکوں ہی سکوں ہے، خوشی ہی خوشی ہے
ترا غم سلامت مجھے کیا کمی ہے

وہ موجود ہیں اور ان کی کمی ہے
محبت بھی تنہائی دائمی ہے

چراغوں کے بدلے مکاں جل رہے ہیں
نیا ہے زمانہ نئی روشنی ہے

ارے او جفاؤں پہ چپ رہنے والو
خموشی جفاؤں کی تائید بھی ہے

مرے راہبر مجھ کو گمراہ کر دے
سنا ہے کہ منزل قریب آ گئی ہے
خمارؔ بارہ بنکوی

Na hara hai ishq aur na duniya thaki hai
Diya jal raha hai hawa chal rahi hai

Sukoon hi sukoon hai, khushi hi khushi hai
Tera gham salamat mujhe kia kami hai

Wo maujood hain aur un ki kami hai
Muhabbat bhi tanhaiy daiymi hai

Chiraghon ke badle makan jal rahe hain
Naya hai zamana naiy raushni hai

Aray o jafaon pe chup rehne walo
Khamoshi jafaon ki tayeed bhi hai

Mere rahbar mujh ko gumrah kar de
Suna hai ke manzil qareeb aa gaiy hai

Khumar Barah Bankvi


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha