Rangeeni e hawis ka wafa naam rakh dia Khud-daari e wafa ka jafa naam rakh dia



رنگینئ ہوس کا وفا نام رکھ دیا
خوددارئ وفا کا جفا نام رکھ دیا

بے مہرئ حبیب کا مشکل تھا اعتراف
یاروں نے اس کا ناز و ادا نام رکھ دیا

یہ روح کیا ہے، جسم کا عکس لطیف ہے
یہ اور بات ہے کہ جدا نام رکھ دیا
گوپال متل

Rangeeni e hawis ka wafa naam rakh dia
Khud-daari e wafa ka jafa naam rakh dia

Bemohri e habib ka mushkil tha etiraf
Yaron ne us ka naz o ada naam rakh dia

Ye rooh kia hai, jism ka aks e lateef hai
Ye aur bat hai ke juda naam rakh dia

Gopal Mital


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha