Sirf khanjar hi nahi ankhon mein pani chahiye Ay Khuda, dushman bhi mujh ko khandani chahiye



صرف خنجر ہی نہیں، آنکھوں میں پانی چاہیے
اے خدا دشمن بھی مجھ کو خاندانی چاہیے

شہر کی ساری الف لیلائیں بوڑھی ہو چکیں
شاہزادے کو کوئی تازہ کہانی چاہیے

میں نے اے سورج، تجھے پوجا نہیں، سمجھا تو ہے
میرے حصے میں بھی تھوڑی دھوپ آنی چاہیے

میری قیمت کون دے سکتا ہے اس بازار میں
تم زلیخا ہو تمہیں قیمت لگانی چاہیے

زندگی ہے اک سفر اور زندگی کی راہ میں
زندگی بھی آئے تو ٹھوکر لگانی چاہیے

میں نے اپنی خشک آنکھوں سے لہو چھلکا دیا
اک سمندر کہہ رہا تھا مجھ کو پانی چاہیے
راحت اندوری

Sirf khanjar hi nahi ankhon mein pani chahiye
Ay Khuda, dushman bhi mujh ko khandani chahiye

Shehr ki sari alif lailayen boodhi ho chukeen
Shahzade ko koi taza kahani chahiye

Main ne ay sooraj, tujhe pooja nahi, samjha to hai
Mere hisse mein bhi thodi dhoop ani chahiye

Meri qeemat kaun de sakta hai is bazar mein
Tum Zulaikha ho, tumhen qeemat lagani chahiye

Zindagi hai ek safar aur zindagi ki raah mein
Zindagi bhi aye to thoker lagani chahiye

Main ne apni khushk ankhon se lahu tapka dia
Ek samundar keh raha tha, mujh ko pani chahiye

Rahat Indori


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo