Sukoot e sham e khizan hai, qareeb aa jao Bada udas samaan hai qareeb aa jao



سکوت شام خزاں ہے، قریب آ جاؤ
بڑا اداس سماں ہے قریب آ جاؤ

نہ تم کو خود پہ بھروسہ، نہ ہم کو زعم وفا
نہ اعتبار جہاں ہے قریب آ جاؤ

رہ طلب میں کسی کو کسی کا دھیان نہیں
ہجوم ہمسفراں ہے قریب آ جاؤ

جو دشت عشق میں بچھڑے، وہ عمر بھر نہ ملے
یہاں دھواں ہی دھواں ہے قریب آ جاؤ

فرازؔ دور کے سورج غروب سمجھے گئے
یہ دور کم نظراں ہے قریب آ جاؤ
احمد فرازؔ

Sukoot e sham e khizan hai, qareeb aa jao
Bada udas samaan hai qareeb aa jao

Na tum ko khud pe bharosa, na hum ko zoam e wafa
Na aitbar e jahan hai qareeb aa jao

Reh e talab mein kisi ko kisi ka dhiyan nahi
Hujoom e humsafaran hI qareeb aa jao

Jo dasht e ishq mein bichhde, wo umr bhar na mile
Yahan dhuwan hi dhuwan hai qareeb aa jao


Faraz door ke sooraj ghuroob samjhe gaye
Ye daur e kam nazaran hai qareeb aa jao

Ahmed Faraz


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha

Kisi Bashar Mein Hazar Khami Agar Jo Dekho Tou Chup Hi Rehna