Tu qareeb aye to qurbat ka youn izhar karoon Aiyna samne rakh kar tera deedar karoon
تو قریب آئے تو قربت کا یوں اظہار کروں
آئینہ سامنے رکھ کرترا دیدار کروں
سامنے تیرے کروں ہار کا اپنی اعلان
اور اکیلے میں تری جیت سے انکار کروں
پہلے سوچوں اسے پھر اس کی بناؤں تصویر
اور پھر اس میں ہی پیدا در و دیوار کروں
مرے قبضے میں نہ مٹی ہے، نہ بادل، نہ ہوا
پھر بھی چاہت ہے کہ ہر شاخ ثمربار کروں
صبح ہوتے ہی ابھر آتی ہے سالم ہو کر
وہی دیوار جسے روز میں مسمار کروں
ندا فاضلی
Tu qareeb aye to qurbat ka youn izhar karoon
Aiyna samne rakh kar tera deedar karoon
Samne tere karoon haar ka apni elan
Aur akele mein teri jeet se inkar karoon
Pehle sochoon usay phir us ki banaoun tasveer
Aur phir us mein hi paida dar o deevar karoon
Mere qabze mein na mitti hai, na baadal na hawa
Phir bhi chahat hai ke har shakh samar baar karoon
Subh hote hi ubher ati hai salim ho kar
Wohi deevar jise roz main mismar karoon
Nida Fazli
Comments
Post a Comment