Ye mere jazb e muhabbat ki pazeeraiy hai Wo bhi kehne lage, deevana hai, saudaiy hai



یہ مرے جذب محبت کی پذیرائی ہے
وہ بھی کہنے لگے، دیوانہ ہے، سودائی ہے

ہر طرف تو ہے، تری یاد ہے، آہٹ تیری
تیری محفل سے تو اچھی مری تنہائی ہے

اس سے بہتر ہے کہ تجدید محبت کر لے
بیوفا بن کے بھی رہنا تری رسوائی ہے

شیشہ‌ٔ جسم ہوا جاتا ہے ٹکڑے ٹکڑے
یہ قیامت ہے کہ ظالم تری انگڑائی ہے

ایسا بدلا ہے زمانہ کہ الٰہی توبہ
جو تماشہ تھا، وہی آج تماشائی ہے

مطمئن ہوں میں عمرؔ شیشے کے گھر میں رہ کر
پتھروں سے مری صدیوں کی شناسائی ہے
عمر قریشی

Ye mere jazb e muhabbat ki pazeeraiy hai
Wo bhi kehne lage, deevana hai, saudaiy hai

Har taraf tu hai, teri yad hai, ahat teri
Teri mehfil se to achi meri tanhaiy hai

Is se behtar hai ke tajdeed e muhabbat kar le
Bewafa ban ke bhi rehna teri rusvaiy hai

Sheesha e jism hua jata hai tukde tukde
Ye qayamat hai ke zalim teri angdaiy hai

Aisa badla hai zamana ke Elahi tauba
Jo tamasha tha, wohi aj tamashaiy hai

Mutma’in hoon main Umar sheeshe ke ghar mein reh kar
Pattharon se meri sadiyon ki shanasaiy hai

Umar Quraishi


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo