Zindagi ki har kahani be asar ho jaye gi Hum na hon ge to ye duniya dar ba dar ho jaye gi



زندگی کی ہر کہانی بے اثر ہو جائے گی
ہم نہ ہوں گے تو یہ دنیا در بدر ہو جائے گی

پاؤں پتھر کر کے چھوڑے گی، اگر رک جائیے
چلتے رہیے تو زمیں بھی ہمسفر ہو جائے گی

جگنوؤں کو ساتھ لے کر رات روشن کیجیے
راستہ سورج کا دیکھا تو سحر ہو جائے گی

زندگی بھی کاش میرے ساتھ رہتی عمر بھر
خیر اب جیسے بھی ہونی ہے، بسر ہو جائے گی

تم نے خود ہی سر چڑھائی تھی سو اب چکھو مزہ
میں نہ کہتا تھا کہ دنیا درد سر ہو جائے گی

تلخیاں بھی لازمی ہیں زندگی کے واسطے
اتنا میٹھا بن کے مت رہیے، شکر ہو جائے گی
راحت اندوری

Zindagi ki har kahani be asar ho jaye gi
Hum na hon ge to ye duniya dar ba dar ho jaye gi

Pa’on patthar kar ke chhode gi agar ruk jaiye
Chalte rahiye to zameen bhi humasafar ho jaye gi

Jugnuon ko sath le kar rat raushan kijiye
Raasta sooraj ka dekha to sehr ho jaye gi

Zindagi bhi kaash mere sath rehti umr bher
Khair ab jaise bhi honi hai, basar ho jaye gi

Tum ne khud hi sar chadhaiy thi so ab chakkho maza
Main na kehta tha ke duniya dard e sar ho jaye gi

Talkhiyan bhi lazmi hain zindagi ke waste
Itna meetha ban ke mat rahiye, shakar ho jaye gi

Rahat Indori


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai