Woh Barang e Aitbar Aankhon Mein Hai Aik Taskeen Ik Qarar Aankhon Mein Hai



وہ برنگ اعتبار آنکھوں میں ہے
ایک تسکیں اک قرار آنکھوں میں ہے

Woh Barang e Aitbar Aankhon Mein Hai

 Aik Taskeen Ik Qarar Aankhon Mein Hai


میں نئی رت کے سفر پر ہوں مگر
پچھلے موسم کا خمار آنکھوں میں ہے

Main Nayi Rut Ke Safar Par Hon Magar

Pichlay Mousam Ka Khumar Aankhon Mein Hai


خیر مقدم کہہ رہے ہیں سرخ لب
چاہتوں کا اشتہار آنکھوں میں ہے

Khair Maqdam Keh Rahe Hain Surakh Lab

Chahaton Ka Ishtehar Aankhon Mein Hai


روشنی کی طرح وہ رخصت ہوا
جگنوؤں کی اک قطار آنکھوں میں ہے

Roshni Ki Tarah Woh Rukhsat Hoa

Jugnoun Ki Ik Qatar Aankhon Mein Hai


ڈوبتے لمحوں کی کشتی پر سوار
کاروان انتظار آنکھوں میں ہے

Doobte Lamhon Ki Kashti Par Sawar

Kawaan Intezar Aankhon Mein Hai


ایک طوفاں دل کی گردش میں احساں
ایک جوئے اشک بار آنکھوں میں ہے

Aik Toofan Dil Ki Gardish Mein IHSAN

Aik Joye Ashk Bar Aankhon Mein Hai 

 احساں

Ihsan


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha