Ankh wehshat mein samoti hoon, bohat bolti hoon Jab naya khwab piroti hoon bohat bolti hoon



آنکھ وحشت میں سموتی ہوں، بہت بولتی ہوں
جب نیا خواب پروتی ہوں بہت بولتی ہوں

تم نے دیکھے نہیں فرصت سے خدوخال مرے
جب میں تصویر میں ہوتی ہوں بہت بولتی ہوں

میری وسعت سے زیادہ ہے ترا بوجھ مجھے
زندگی جب تجھے ڈھوتی ہوں، بہت بولتی ہوں

توڑ کر چیزیں نکلتی ہے مری ساری بھڑاس
خوب ہنستی بھی ہوں، روتی ہوں، بہت بولتی ہوں

Ankh wehshat mein samoti hoon, bohat bolti hoon
Jab naya khwab piroti hoon bohat bolti hoon

Tum ne dekhe nahi fursat se khad o khal mere
Jab main tasveer mein hoti hoon, bohat bolti hoon

Meri wusat se ziyada hai tera bojh mujhe
Zindagi jab tujhe dhoti hoon, bohat bolti hoon

Tod kar cheezen nikalti hai meri sari bhadas
Khoob hansi bhi hoon, roti hoon, bohat bolti hoon


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai