Hazar raahain mud key daikhain Kahin se koi sada na aai



ہزار راہیں مُڑ کے دیکھیں
کہیں سے کوئی صدا نہ آئی
بڑی وفا سے نبھائی تم نے
 ہماری تھوڑی سی بے وفائی
جہاں سے تم موڑ مڑ گئے تھے
یہ موڑ اب بھی وہیں پڑے ہیں
ھم اپنے پیروں میں جانے کتنے
بھنور لپیٹے ہوئے کھڑے ہیں
کہیں کسی روز یوں بھی ہوتا
ہماری حالت تمہاری ہوتی
جو رات ہم نے گزاری مَر کے
 وہ رات تم نے گزاری ہوتی
تمہیں یہ ضد تھی کہ ہم بلاتے
ہمیں یہ اُمید وہ پُکاریں
بے  نام ہونٹوں پہ اب بھی لیکن
 آواز میں پڑ گئی دراڑیں
گلزار
Hazar raahain mud key daikhain
Kahin se koi sada na aai
Bari wafa se nibhai tum ne
Hamari thori si bewafai
Jahan se tum mod mur gaye thay
Ye mod ab bhi wahin paray hain
Hum apnay pairoon main janay kitnay
Bhanwar lapaitay howay kharay hain
Kahin kisi roz youn bhi hota
Hamari halat tumhari hoti
Jo raat hum ne guzari mar key
Wo raat tum ne guzaari hoti
Tumhain ye zid thi key hum bulatay
Hamain ye umeed wo pukarain
Hai naam honton pe ab bhi laikin
Aawaz main par gai dararain.
Gulzar


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo