Neem-Wa See Sharbati Aankhein An-Kahi Ko Karein Kahi Aankhein



نیم وا سی وہ شربتی آنکھیں
ان کہی کو کریں کہی آنکھیں

Neem-Wa See Sharbati Aankhein An-Kahi Ko Karein Kahi Aankhein


دل کی دھڑکن کو تیز کرتی ہیں
ایک کھڑکی سے جھانکتی آنکھیں

Dil Ki Dhadkan Ko Tez Karti Hein Aik Khidki Se Jhankti Aankhein


تیری دنیا میں آ کے دیکھا ہے
دیکھتے کان بولتی آنکھیں

Teri Dunya Mein Aa Ke Daikha Hai Daikhte Kan Bolti Aankhein


جو کہ پتھر بھی توڑ دیتی ہیں
ایسی ہوتی ہیں واقعی آنکھیں

Jo Keh Pathar Bhi Tod Daiti Hein Aisi Hoti Hein Waqiee Aankhein


ایک بھونچال کی علامت ہیں
ہلکی ہلکی یہ کانپتی آنکھیں

Aik Bhoonchal Ki Alamat Hein Halki Halki Yeh Kanpti Aankhein

 
دیکھ دیوار و در پہ اُگ آئیں
غم سے پتھرائی حیرتی آنکھیں

Daikh Deewar o Dar Peh Ug Aaein Gham Se Pathraai Hairti Aankhein


کتنے لہجے تراش لیتی ہیں
خامشی میں وہ بولتی آنکھیں

Kitne Lahje Tarash Laiti Hein Khamshi Mein Woh Bolti Aankhein


جیسا منظر ہو ویسی ہو جائیں
ایک چہرے پہ ہیں کئی آنکھیں

Jaisa Manzar Ho Waisi Ho Jaein Aik Chehre Peh Hein Kai Aankhein

 
ہیں ابھی تک تلاشِ گمشدگاں
گھر کی دیوار میں چنی آنکھیں

Hein Abhi Tak Talash Gumshudgaan Ghar Ki Deewar Mein Chuni Aankhein

 
کتنے دلشاد کر گئیں شکوے
وقتِ رخصت وہ بھیگتی آنکھیں

Kitne DILSHAD Kar Gaein Shikwe Waqt e Rukhsat Woh Bheegti Aankhein

دلشاد احمد

Dilshad Ahmad


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha