Khushbo Ke Saath Uski Rafaqat Ajeeb Thi Lams Hawaye Sham Ki Rahat Ajeeb Thi



خوشبو کے ساتھ اس کی رفاقت عجیب تھی
لمس ہوائے شام کی راحت عجیب تھی
Khushbo Ke Saath Uski Rafaqat Ajeeb Thi

Lams Hawaye Sham Ki Rahat Ajeeb Thi


لپٹا ہوا تھا ذہن سے اک کاسنی خیال
اترا تو جان و جسم کی رنگت عجیب تھی
Laita Hoa Tha Zehn Se Ik Kasni Khayal

Utra Tou Jan o Jisam Ki Rangat Ajeeb Thi


ملنے کی آرزو، نہ بچھڑنے کا کچھ ملال
ہم کو اس آدمی سے محبت عجیب تھی
Milny Ki Aarzoo , Na Bichadne Ka Kuch Malaal

Hum Ko Us Aadmi Se Muhabbat Ajeeb Thi


آنکھیں ستارہ ساز تھیں باتیں کرشمہ ساز
اس یار سادہ رو کی طبیعت عجیب تھی
Aankhein Sitara Saz Thein Batein Karishma Saz

Us Yaar Sadah-Ro Ki Tabia'at Ajeeb Thi


نوشی گیلانی

Noshi Gailani

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha