Teri marzi hai, tu rahe, na rahe Tujh pe ab ikhtiyar thodi hai



‏تیری مرضی ہے، تُو رہے، نہ رہے
تجھ پہ اب اختیار تھوڑی ہے
Teri marzi hai, tu rahe, na rahe
Tujh pe ab ikhtiyar thodi hai

 
دِل میں تم ہو، تمہاری یادیں ہیں
کوئی اُجڑا دیار تھوڑی ہے
Dil mein tum ho, tumhari yaden hain
Koi ujda diyar thodi hai

 
تیری یادوں سے زندگی ہے مری
تب ہی کہتا ہوں یار، تھوڑی ہے
Teri yadon se zindagi hai meri
Tab hi kehta hoon yar, thodi hai

 
دائمی عشق مجھ کو لاحق ہے
چار دِن کا بخار تھوڑی ہے
Daiymi ishq mujh ko lahaq hai
Char din ke bukhar thodi hai







Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai