Dil ke behlane ki tadbeer to hai Tu nahi hai teri tasveer to hai



دل کے بہلانے کی تدبیر تو ہے
تو نہیں ہے، تری تصویر تو ہے 

Dil ke behlane ki tadbeer to hai
Tu nahi hai teri tasveer to hai

 
ہمسفر چھوڑ گئے مجھ کو تو کیا
ساتھ میرے مری تقدیر تو ہے 

Humsafar chhod gaye mujh ko to kia
Sath mere meri taqdeer to hai

 
قید سے چھوٹ کے بھی کیا پایا
آج بھی پاؤں میں زنجیر تو ہے 

Qaid se chhoot ke bhi kia paya
Aj bhi pa’on mein zanjeer to hai

 
کیا مجال، ان کے نہ دیں خط کا جواب
بات کچھ باعث تاخیر تو ہے 

Kia majal, un ke na den khat ka jawab
Bat kuch ba’is e takheer to hai

 
پرسش حال کو وہ آ ہی گئے
کچھ بھی ہو، عشق میں تاثیر تو ہے 

 Pursish e haal ko wo aa hi gaye
Kuch bhi ho, ishq mein taseer to hai

 
غم کی دنیا رہے آباد شکیلؔ
مفلسی میں کوئی جاگیر تو ہے

Gham ki duniya rahe abaad Shakeel
Muflisi mein koi jageer to hai

 
شکیل بدایونی
Shakeel Badayouni


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo