Dukh to nahi ke tanha musafat mein mar gaya Acha hua main teri rafaqat mein mar gaya
دکھ تو نہیں کہ تنہا مسافت میں مر گیا
اچھا ہُوا، میں تیری رفاقت میں مر گیا
Dukh to nahi ke tanha musafat mein mar gaya
Acha hua main teri rafaqat mein mar gaya
حاکم خود اپنے عہد ِ حکومت میں مر گیا
زندہ وہی رہا جو بغاوت میں مر گیا
Hakim khud apne ehd e hukoomat mein mar gaya
Zinda wohi raha jo baghawat mein mar gaya
کچھ نفرتوں کی نذر ہُوا میرا یہ وجود
باقی جو بچ گیا تھا، محبت میں مر گیا
Kuch nafraton ki nazr hua mera ye wujood
Baqi jo bach gaya tha, muhabbat mein mar gaya
مجھ کو کبھی حصار میں کب لے سکا کوئی
میں اس لیے بس اپنی حراست میں مر گیا
Mujh ko kabhi hisar mein kab le saka koi
Main is liye bas apni harasat mein mar gaya
اُس کی محبتوں کا رضی ذکر کیا کروں
اِتنا سکوں ملا کہ اذیت میں مر گیا
Us ki muhabbaton ka Razi zikr kia karoon
Itna sukoon mila ke azziyat mein mar gaya
رضی الدین رضی
Raziuddin Razi
Comments
Post a Comment