Hum faqeeron ki bhalaa zat kahan rehti hai Ishq ho jaye to auqat kahan rehti hai



ہم فقیروں کی بھلا ذات کہاں رہتی ہے
عشق ہو جائے تو اوقات کہاں رہتی ہے
Hum faqeeron ki bhalaa zat kahan rehti hai
Ishq ho jaye to auqat kahan rehti hai

 
روز ملنے سے کہاں راز چھپا رہتا ہے
مجھ کو معلوم نہیں، رات کہاں رہتی ہے
Roz milne se kahan raz chhupa rehta hai
Mujh ko maloom nahi, rat kahan rehti hai

 
مان لیتے ہیں تری بات  یہی سچ ہو گا
سچ پہ آ جائے تو پھر بات کہاں رہتی ہے
Maan lete hain teri bat yehi sach ho ga
Sach pe aa jaye to phir bat kahan rehti hai

غور سے دیکھ مجھے جیت نشہ ہوتی ہے
مسکراہٹ ہے اگر، مات کہاں رہتی ہے
Ghaur se dekh mujhe jeet nasha hoti hai
Muskurahat hai agar, maat kahan rehti hai

 
بال بگڑے ہوئے اب ٹھیک نہیں کرتا ہوں
اب حسینوں سے ملاقات کہاں رہتی ہے
Baal bigde huay ab theek nahi karta hoon
Ab haseenon se mulaqat kahan rehti hai

 
تو نے منصور کبھی اپنی تلاشی لی ہے
تیرے اندر یہ خرافات کہاں رہتی ہے
Tu ne Mnsoor kabhi apni talashi li hai
Tere andar ye kharafat kahan rehti hai


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha