Khafa hona, manaa lena Ye sadiyon se rivayet hai Muhabbat ki alamat hai



خفـــــــا ہونا، منــــــا لینا
یہ صدیوں سـے روایت ہے
محبت کــــی علامت ہے

گِلـے شکوے کرو مجھ ســے
تمہیں اس کی اجـــازت ہے
مگر یہ یــــــــــــاد رکھنا تم
کبھی ایســــا بھی ہوتا ہے

ہــــــــوائیں رخ بدلتی ہیں
خــــزائیں لــوٹ آتـــی ہیں
خطائیں ہو ہی جاتی ہیں

خطا ہونــــا بھی ممکن ہے
خفـــــا ہونا بھی ممکن ہے
مگر یوں ہـــاتھ سے دامـــن
کبھی چھوٹا نہیں کرتــــــے

ہمیشہ یـــــــــــــاد رکھنا ﮐﮧ
تعلق توڑ جــــــــــــانے ﺳﮯ
کبھی ٹوٹــــــــــا نہیں کرتے

Khafa hona, manaa lena
Ye sadiyon se rivayet hai
Muhabbat ki alamat hai

Gile shikwe karo mujh se
Tumhen is ki ijazat hai
Magar ye yad rakhna tum
Kabhi aisa bhi hota hai

Hawayen rukh badalti hain
Khizayen laut ati hain
Khatayen ho hi jati hain

Khataa hona bhi mumkin hai
Khafa hona bhi mumkin hai
Magar youn hath se daman
Kabhi chhoota nahi karte

Hamesha yad rakhna ke
Talluq tod jane se
Kabhi toota nahi karte


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha