Na mere khwab badle na koi tabeer badli hai Na din badle hain mere, na meri taqdeer badli hai



نہ میرے خواب بدلے نہ کوئی تعبیر بدلی ہے
نہ دن بدلے ہیں میرے، نہ میری تقدیر بدلی ہے
Na mere khwab badle na koi tabeer badli hai
Na din badle hain mere, na meri taqdeer badli hai

 
وہی فرمان شاہی ہے وہی ہے اذن سلطانی
وہی سکہ ہے رائج، اس پہ بس تصویر بدلی ہے
Wohi farman e shahi hai, wohi hai izn e sultani
Wohi sikka hai ra’ij, us pe bas tasveer badli hai

 
میری آنکھوں سے پٹی کھول دو کہ آج میں دیکھوں
کہ آزادی ملی ہے یا فقط زنجیر بدلی ہے
Meri ankhon se patti khhol do ke aj main dekhoon
Ke azadi mili hai hai ya faqat zanjeer badli hai


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo