Sans dar sans azziyat ki rasad hoti hai Main samajhta tha ke har cheez ki had hoti hai



سانس در سانس اذیت کی رسد ہوتی ہے
میں سمجھتا تھا کہ ہر چیز کی حد ہوتی ہے
Sans dar sans azziyat ki rasad hoti hai
Main samajhta tha ke har cheez ki had hoti hai

 
نعمتِ ناز سے کاسہ ہی الٹ دے میرا
بے رخی عشق میں اعزازی سند ہوتی ہے
Nemat e naz se kasa hi ulat de mera
Berukhi ishq mein ezazi sanad hoti hai

 
ایک امید جو ہر روز سنور کر آئے
ایک خواہش کہ جو ہر روز ہی رد ہوتی ہے
Youn to hai sabr mein mash-hoor qabeela mera
Par ho jab teri zarurat to ashad hoti hai

 
یوں تو ہے صبر میں مشہور قبیلہ میرا
پر ہو جب تیری ضرورت تو اشد ہوتی ہے
Aik umeed jo har roz sanwer kar aye
Aik khwahish ke jo har roz hi rad hoti hai


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha