Wo chup chap ansu bahane ki raten Wo ek shakhs ke yad anay ki raten



وہ چپ چاپ آنسو بہانے کی راتیں
وہ اک شخص کے یاد آنے کی راتیں 

Wo chup chap ansu bahane ki raten
Wo ek shakhs ke yad anay ki raten

 
مجھے یاد ہے تیری ہر صبح رخصت
مجھے یاد ہیں تیرے آنے کی راتیں

Mujhe yad hai teri har subh rukhsat
Mujhe yad hain tere anay ki raten

 
سر شام سے تا سحر قرب جاناں
نجانے وہ تھیں کس زمانے کی راتیں

Sar e sham se ta sehr qurb e janan
Najane wo theen kis zamane ki raten

 
فراقؔ اپنی قسمت میں شاید نہیں تھے
ٹھکانے کے دن یا ٹھکانے کی راتیں


Firaq
apni qismat mein shayed nahi thay
Thikane ke din ya thikane ki raten

 
فراقؔ گورکھپوری

Firaq Gorakhpuri


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai