Wo sar khhole hamari lash par deevana var aye Isi ko maut kehte hain to Ya Rab baar baar aye



وہ سر کھولے ہماری لاش پر دیوانہ وار آئے
اِسی کو موت کہتے ہیں تو یا رب بار بار آئے 

Wo sar khhole hamari lash par deevana var aye
Isi ko maut kehte hain to Ya Rab baar baar aye

 
سرِ گورِ غریباں آؤ لیکن یہ گزارش ہے
وہاں منہ پھیر کر رونا جہاں میرا مزار آئے 

Sea e gor e ghareeban aao lekin ye guzarish hai
Wahan munh pher kar rona jahan mera mazar aye

 
بہا اے چشمِ تر، ایسا بھی اِک آنسو ندامت کا
جسے دامن پہ لینے رحمتِ پروردگار آئے

Baha ay chashm e tar, aisa bhi ek ansu nadamat ka
Jise daman pe lene Rehmat e Parwardigar aye

 
قفس کے ہو لیے ہم تو مگر اے اہلِ گلشن تم
ہمیں بھی یاد کر لینا چمن میں جب بہار آئے

Qafas ke ho liye hum to magar ay ehl e gulshan tum
Humen bhi yad kar lena chaman mein jab bahar aye

 
نجانے کیا سمجھ کر چُپ ہوں اے صیّاد میں ورنہ
وہ قیدی ہوں، اگر چاہوں، قفس میں بھی بہار آئے

Najane kia samajh kar chup hoon ay sayyad main warna
Wo qaidi hoon, agar chahoon, qafas mein bhi bahar aye

 
قمر دِل کیا ہے، میں تو اُن کی خاطر جان بھی دے دوں
مِری قسمت اگر اُن کو نہ پھر بھی اعتبار آئے

Qamar dil kia hai, main to un ki khatir jan bhi de doon
Meri qismat agar un ko na phir bhi aitbar aye

 
قمر جلالوی
Qamar Jalalvi

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai