Zara sukoon bhi sehra ke pyar ne na dia Musafiron ko hawa ne pukarne na dia



ذرا سکون بھی صحرا کے پیار نے نہ دیا
مسافروں کو ہوا نے پکارنے نہ دیا

Zara sukoon bhi sehra ke pyar ne na dia
Musafiron ko hawa ne pukarne na dia

 
تجھے بھی دے نہ سکے چین وہ گلاب کے پھول
مجھے بھی اذن تبسم بہار نے نہ دیا

Tujhe bhi de na sake chain wo gulab ke phool
Mujhe bhi izn e tabassum bahar ne na dia

نجانے کتنے مراحل کے بعد پایا تھا
وہ ایک لمحہ جو تو نے گزارنے نہ دیا 

Najane kitne marahil ke baad paya tha
Wo aik lamha jo tu ne guzaarne na dia

 
کہاں گئے وہ جو آباد تھے خرابے میں
پتہ کسی کا دل بیقرار نے نہ دیا 

Kahan gaye wo jo abaad thay kharabe mein
Pata kisi ka dil e beqarar ne na dia

میں آپ اپنے لیے دشمنوں سے بڑھ کر تھا
ساحر یہ دل تھا میرا جس نے ہارنے نہ دیا

Main ap apne liye dushmanon se badh kar tha
Sahir ye dil tha mera jis ne harne ban dia

 
ساحر
Sahir


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo