Is se badh kar bhi kia saza hai koi Hum zuban hai, na humnawa hai koi



اس سے بڑھ کر بھی کیا سزا ہے کوئی
ہم زباں ہے نہ ہمنوا ہے کوئی

یہ تو شیوہ ہے ہم فقیروں کا
ورنہ غم بھی خریدتا ہے کوئی

کتنی تلخی ہے تیرے لہجے میں
حال دل یوں بھی پوچھتا ہے کوئی

کچھ سبب تو ضرور ہے ورنہ
گھر کا رستہ بھی بھولتا ہے کوئی

ہو گی اس کی بھی کوئی مجبوری
ورنہ خوابوں کو بیچتا ہے کوئی

جانے کیوں شہر اتنا دشمن ہے
حق پرستی بھی کیا خطا ہے کوئی

اس کو شاید ڈسا ہے انساں نے
ورنہ سانپوں کو پالتا ہے کوئی

صورت خواب میری آنکھوں میں
سو بھی جاؤں تو جاگتا ہے کوئی
یونس فریدی

Is se badh kar bhi kia saza hai koi
Hum zuban hai, na humnawa hai koi

Ye to sheva hai hum faqeeron ka
Warna gham bhi khareedta hai koi

Kitni talkhi hai tere lehje mein
Haal e dil youn bhi poochta hai koi

Kuch sabab to zarur hai warna
Ghar ka rasta bhi bhoolta hai koi

Ho gi us ki bhi koi majboori
Warna khabon ko bechta hai koi

Jane kyun shehr itna dushman hai
Haq parasti bhi kia khataa hai koi

Us ko shayed dasa hai insan ne
Warna sanpon ko paalta hai koi

Soorat e khwab meri ankhon mein
So bhi jaoun to jagta hai koi

Younas Faridi


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha