Aghaz to hota hai anjam nahi hota Jab meri kahani mein wo naam nahi hota



آغاز تو ہوتا ہے انجام نہیں ہوتا
جب میری کہانی میں وہ نام نہیں ہوتا 

Aghaz to hota hai anjam nahi hota
Jab meri kahani mein wo naam nahi hota

 
جب زلف کی کالک میں گھل جائے کوئی راہی
بدنام سہی لیکن گمنام نہیں ہوتا

Jab zulf ki kalak mein ghoul jaye koi rahi
Badnam sahi lekin gumnam nahi hota

 
ہنس ہنس کے جواں دل کے ہم کیوں نہ چنیں ٹکڑے
ہر شخص کی قسمت میں انعام نہیں ہوتا

Hans hans ke jawan dil ke hum kyun na chunen tukde
Har shakhs ki qismat mein inam nahi hota

 
دل توڑ دیا اس نے یہ کہہ کے نگاہوں سے
پتھر سے جو ٹکرائے وہ جام نہیں ہوتا

Dil toda dia us ne ye keh ke nigahon se
Patthar se jo takraye, wo jaam nahi hota

 
مینا کماری ناز
Meena Kumari Naz


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo