Ayadat hoti jati hai ibadat hoti jati hai Mere marne ki dekho sab ko adat hoti jati hai



عیادت ہوتی جاتی ہے عبادت ہوتی جاتی ہے
میرے مرنے کی دیکھو سب کو عادت ہوتی جاتی ہے
Ayadat hoti jati hai ibadat hoti jati hai
Mere marne ki dekho sab ko adat hoti jati hai

 
نمی سی آنکھ میں اور ہونٹ بھی بھیگے ہوئے سے ہیں
یہ بھیگا پن ہی دیکھو مسکراہٹ ہوتی جاتی ہے
Nami si ankh mein aur hont bhi bheege huay se hain
Ye bheega pan hi dekho muskurahat hoti jati hai

 
تیرے قدموں کی آہٹ کو یہ دل ہے ڈھونڈتا ہر دم
ہر اک آواز پر اک تھرتھراہٹ ہوتی جاتی ہے
Tere qadmon ki ahat ko ye dil hai dhoondta har dam
Har ek awaz par ek thartharahat hoti jati hai

 
یہ کیسی یاس ہے رونے کی بھی اور مسکرانے کی
یہ کیا درد ہے کہ جھنجھناہٹ ہوتی جاتی ہے
Ye kaisi yas hai rone ki bhi aur muskurane ki
Ye kaisa dard hai ke jhunjhunahat hoti jati hai

 
کبھی تو خوبصورت اپنی ہی آنکھوں میں ایسے تھے
کسی غم خانہ سے گویا محبت ہوتی جاتی ہے
Kabhi to khoobsurat apni hi ankhon mein aise thay
Kisi gham khane se goya muhabbat hoti jati hai

 
خود ہی کو تیز ناخنوں سے ہائے نوچتے ہیں اب
ہمیں اللہ خود سے کیسی الفت ہوتی جاتی ہے​
Khud hi ko tez nakhunon se haye nochte hain ab
Humen Allah khud se kaisi ulfat hoti jati hai

مینا کماری ناز
Meena Kumari Naz


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha