Benga hua dariya hoon, kahin par the, kahin hoon Main lamha e maujood ka paband nahi hoon



بہتا ہوا دریا ہوں، کہیں پر تھا، کہیں ہوں
میں لمحۂ موجود کا پابند نہیں ہوں
Benga hua dariya hoon, kahin par the, kahin hoon
Main lamha e maujood ka paband nahi hoon

 
وابستہ ہوں اک سلسلۂ عشق سے لیکن
میں چاک گریباں ہوں، نہ میں خاک نشیں ہوں
Wabasta hoon ek silsila e ishq se lekin
Main chak gireban hoon, na main khak nasheen hoon

 
مخصوص ہے جو صرف ترے حسن نظر سے
اس آنکھ سے دیکھے کوئی مجھ کو تو حسیں ہوں
Makhsoos hai jo sirf tere husn e nazar se
Us ankh se dekhe koi mujh ko to haseen hoon

 
دلدار نگاہوں کے اشاروں سے بلا لے
میں تیری پہنچ سے ابھی باہر بھی نہیں ہوں
Dildar nigahon ke isharon se bula le
Main teri pohnch se abhi bahir bhi nahi hoon

 
ہے اب بھی وہی دل کے دھڑکنے کی کہانی
تو مجھ کو جہاں چھوڑ گیا تھا، میں وہیں ہوں
Hai ab bhi wohi dil ke dhadakne ki kahani
Tu mujh ko jahan chhod gaya tha, main wahin hoon


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha