Har koi padh le wo kitab nahi Sab ko khushbu doon, wo gulab nahi
ہر کوئی پڑھ لے وه کتاب نہیں
سب کو خوشبو دوں، وه گلاب نہیں
Har koi padh le wo kitab nahi
Sab ko khushbu doon, wo gulab nahi
ایک ہی شخص کو میسّر ہوں
ہر کسی کو میں دستیاب نہیں
Aik hi shakhs ko mayassir hoon
Har kisi ko main dastiyab nahi
تذکرہ آپ کا نہ ہو جس میں
دل کے صفحات میں وه باب نہیں
Tazkira ap ka na ho jis mein
Dil ke safhat mein wo bab nahi
جب سے دیکھا ہے وه رخ روشن
چھت پہ اترا وه ماہتاب نہیں
Jab se dekha hai wo rukh e raushan
Chahat pe utra wo mahtab nahi
مسکراتی ہیں شوخیاں توبہ
ان کے ہونٹوں کا بھی جواب نہیں
Muskurati hain shokhiyan tauba
Un ke honton ka bhi jawab nahi
کسی بھنورے نے ان کو چھیڑا ہے
آج پھولوں میں وه شباب نہیں
Kisi bhanwre ne in ko chheda hai
Aj phoolon mein wo shabab nahi
کر دے اس پر نثار ہر لمحہ
اور شیزا کا کوئی خواب نہیں
Kar de us par nisar har lamha
Aur Shiza ka koi khwab nahi
شیزا جلالپوری
Shiza Jalalpuri
Comments
Post a Comment