Jab ibtida chiragh thi, jab intiha chiragh Mehfil ke ikhtitam pe phir kia hua chiragh



جب ابتدا چراغ تھی، جب انتہا چراغ
محفل کے اختتام پہ پھر کیا ہوا چراغ
Jab ibtida chiragh thi, jab intiha chiragh
Mehfil ke ikhtitam pe phir kia hua chiragh


تو ہی بتا کہ انجمن آرائی کیا ہوئی
اس انجمن میں تو بھی تو جلتا رہا چراغ
Tu hi bata ke anjuman araiy kia hui
Us anjuman mein tu bhi to jalta raha chiragh


میرے قریب آ کے بھی اتنا گریز کیوں
میرے ندیم، تھا کبھی میں بھی ترا چراغ
Mere qareeb aa ke bhi itna gurez kun
Mere nadeem, tha kabhi main bhi tera chiragh


پھر اس کے بعد حیرت وہم و گمان تھی
جب بن گیا وجود میں اک آئینہ چراغ
Phir us ke baad hairat e wehm o guman thi
Jab ban gaya wujood mein ek aiyna chiragh


گزری جو مجھ پہ گزری، مری بات اور ہے
لیکن جو تجھ پہ گزری مجھے وہ سنا چراغ
Guzri jo mujh pe guzri meri bat aur hai
Lekin jo tujh pe guzri, mujhe wo suna chiragh


منظر ہے رات کا ہی ترے کینوس پہ کیوں
جگنو بنا، شجر کبھی پتے بنا چراغ
Manzar hai rat ka hi tere canvas pe kyun
Jugnu bana, shajar, kabhi patte bana chiragh


چوپال کی کہانی کے کردار کیا ہوئے
شب ختم ہو گئی ہے سو بجھنے لگا چراغ
Chaupal ki kahani ke kirdar kia huay
Shab khatm ho gaiy hai so bujhne laga chiragh


ساحر بس ایک رات میں قصہ تمام شد
میں تھا فصیل شام پہ جلتا ہوا چراغ
Sahir bas aik rat mein qissa tamam shud
Main tha faseel e sham pe jalta hua chiragh

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai