Kis qadar tang hain halaat, nahi dekhe ga Jis ne ana ho wo barsat nahi dekhe ga
کس قدر تنگ ہیں حالات، نہیں دیکھے گا
جس نے آنا ہو، وہ برسات نہیں دیکھے گا
Kis qadar tang hain halaat, nahi dekhe ga
Jis ne ana ho wo barsat nahi dekhe ga
یہ لکیریں تو بچھڑنے کا بہانہ ہیں فقط
جو نبھائے گا، کبھی ہاتھ نہیں دیکھے گا
Ye lekeeren to bichhadne ka bahana hain faqat
Jo nibhaye ga kabhi hath nahi dekhe ga
میں بھی قائل تھا محبت میں، سبھی جائز ہے
وہ بھی کہتا تھا کہ خطرات نہیں دیکھے گا
Main bhi qa’il tha muhabbat mein, sabhi ja’iz hai
Wo bhi kehta tha ke khatrat nahi dekhe ga
جس کو محنت کا صلہ آپ کی صورت میں ملے
کب ہوا دن یا ڈھلی رات نہیں دیکھے گا
Jis ko mehnat ka sila ap ki soorat mein mile
Kab hua din ya dhali rat nahi dekhe ga
جو بھی صحرا میں ترے ساتھ چلا ہو دو پل
جتنے سرسبز ہوں باغات نہیں دیکھے گا
Jo bhi sehra mein tere sath chala ho do pal
Jitne sarsabz hon baghat nahi dekhe ga
Comments
Post a Comment