Koi na koi zaruri hai har kisi ke liye Khuloos chahiye thoda sa dosti ke liye



کوئی نہ کوئی ضروری ہے ہر کسی کے لیے
خلوص چاہیے تھوڑا سا دوستی کے لیے
Koi na koi zaruri hai har kisi ke liye
Khuloos chahiye thoda sa dosti ke liye

 
بڑا عذاب ہے دنیا میں یار تنہائی
ہواک رفیق سفر راہ زندگی کے لیے
Bada azab hai duniya mein yar tanhaiy
Ho ek rafeeq e safar raah e zindagi ke liye


محبتوں کے چلن سے ہے یہ جہاں آباد
مزہ اسی میں ہے، زندہ رہو کسی کے لیے
Muhabbaton ke chalan se hai ye jahan abaad
Maza isi mein hai zinda raho kisi ke liye


شریک غم ہو اداسی میں حوصلہ بخشے
ہماری زندگی ہو اس کی زندگی کے لیے
Shareek e gham ho, udasi mein hausla bakhshe
Hamari zindagi ho us ki zindagi ke liye


نصیب ہو نہ کسی کا بھی قید تنہائی
اک آدمی کی ضرورت ہے آدمی کے لیے
Naseeb ho na kisi ka bhi qaid e tanhaiy
Ek admi ki zarurat hai admi ke liye

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha