Milna, bichhad jana sabhi kuch aarzi thehra Wo ek lamha, mile jab dil, wohi bas qeemti thehra



ملنا، بچھڑ جانا سبھی کچھ عارضی ٹھہرا
وہ اک لمحہ، ملے جب دل، وہی بس قیمتی ٹھہرا
Milna, bichhad jana sabhi kuch aarzi thehra
Wo ek lamha, mile jab dil, wohi bas qeemti thehra

 
سمندر تھا وہیں موجود صحرا بھی وہیں ٹھہرا
محبت میں کوئی چھاؤں تو کوئی دھوپ میں ٹھہرا
Samundar tha wahin maujood, sehra bhi wahin thehra
Muhabbat mein koi chhaon to koi dhoop mein thehra

 
کسی نے بھیک میں مانگی محبت شاہ ہو کر بھی
کسی نے بخش دی چاہت کسی کو اور سخی ٹھہرا
Kisi ne bheek mein mangi muhabbat shah ho kar bhi
Kisi ne bakhsh di chahat kisi ko aur sakhi thehra

 
کسی نے کی بہت کوشش مگر نہ بن سکا نایاب
کسی کا پیار سے تکنا ہی اکثر شاعری ٹھہرا
Kisi ne ki bohat koshish magar na ban saka nayab
Kisi ka pyar se takna hi aksar sha’iri thehra


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai