Muhabbat raz hoti hai usay afsha nahi karna Muhabbat lazmi karna magar charcha nahi karna



محبت راز ہوتی ہے، اسے افشاء نہیں کرنا
محبت لازمی کرنا مگرچرچا نہیں کرنا
Muhabbat raz hoti hai usay afsha nahi karna
Muhabbat lazmi karna magar charcha nahi karna

 
محبت جس پہ نازل ہو، وہ دل تو خاص ہوتا ہے
اگر مل جائے یہ نعمت اسے ضائع نہیں کرنا
Muhabbat jis pe nazil ho, wo dil to khas hota hai
Agar mil jaye ye nemat isay zaya nahi karna

 
میرے اجداد کہتے تھے، محبت دین کا جُز ہے
تو اپنے دین میں تم بھی کہیں دھوکہ نہیں کرنا
Mere ajdad kehte thay muhabbat deen ka juz hai
To apne deen mein tum bhi kahin dhoka nahi karna

 
اگر عزت، محبت سے کبھی بھی ایک بچتا ہو
تو پھر عزت بچا لینا بہت سوچا نہیں کرنا
Agar izzat, muhabbat se kabhi bhi aik bachta ho
To phir izzat bacha lena, bohat socha nahi karna

 
وفا کی کھیتیوں میں یہ محبت خوب اگتی ہے
نہیں ہے شرط پوجا کی مگر بدلا نہیں کرنا
Wafa ki khhetiyon mein ye muhabbat khoob ugti hai
Nahi hai shart pooja ki magar badla nahi karna


محبت کر رہے ہو تم تو یہ پیش نظر رکھنا
محبت چھِن بھی جائے، تم اِسے رسوا نہیں کرنا
Muhabbat kar rahe ho tum, to ye pesh e nazar rakhna
Muhabbat chhin bhi jaye tum isay rusva nahi karna

 
یہ ممکن ہے، محبت میں کبھی غلطی بھی ہو جائے
تو لہجہ نرم رکھنا تم اسے کڑوا نہیں کرنا
Ye mumkin hai, muhabbat mein kabhi ghalati bhi ho jaye
To lehja narm rakhna tum isay kadwa nahi karna

 
بہت مخلص، بہت پیارا اگر جانے کی ضد کر لے
تو تم کو مشورہ ہے پھر اُسے روکا نہیں کرنا
Bohat mukhlis, bohat pyara agar jane ki zid kar le
To tum ko mashwara hai phirusay roka nahi karna

 
بہت سے کھیل ایسے ہیں جنہیں تم کھیل سکتے ہو
محبت کھیل تھوڑی ہے اسے کھیلا نہیں کرنا
Bohat se khhel aise hain jinhen tum khhel sakte ho
Muhabbat khhel thodi hai isay khhela nahi karna

 
یہ لازم تو نہیں ہے، تم ہمارا حال بھی پوچھو
مگر گر یاد آئیں ہم ہمیں بھولا نہیں کرنا
Ye lazim to nahi hai tum hamara haal bhi poocho
Magar gar yad ayen hum, humen bhoola nahi karna


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha