Poochte ho to suno, kaise basar hoti hai Rat khairat ki sadqe ki sehr hoti hai
پوچھتے ہو تو سنو کیسے بسر ہوتی ہے
رات خیرات کی، صدقے کی سحر ہوتی ہے
Poochte ho to suno, kaise basar hoti hai
Rat khairat ki sadqe ki sehr hoti hai
سانس بھرنے کو تو جینا نہیں کہتے یا رب
دل ہی دُکھتا ہے، نہ اب آستیں تر ہوتی ہے
Sans bharne ko to jeena nahi kehte Ya Rab
Dil hi dukhta hai na ab asteen tar hoti hai
جیسے جاگی ہوئی آنکھوں میں چبھیں کانچ کے خواب
رات اس طرح دوانوں کی بسر ہوتی ہے
Jaise jagi hui ankhon mein chubhen kanch ke khwab
Rat is tarah divanon ki basar hoti hai
غم ہی دشمن ہے مرا، غم ہی کو دل ڈھونڈتا ہے
ایک لمحے کی جدائی بھی اگر ہوتی ہے
Gham hi dushman hai mera, gham hi ko dil dhoondta hai
Aik lamhe ki judaiy bhi agar hoti hai
ایک مرکز کی تلاش، ایک بھٹکتی خوشبو
کبھی منزل، کبھی تمہیدِ سفر ہوتی ہے
Aik markaz ki talash aik bhatakti khushbu
Kabhi manzil, kabhi tamheed e safar hoti hai
مینا کماری ناز
Meena Kumari Naz
Comments
Post a Comment