Wo kehti hai tumhare baad barish kyun nahi hoti Main kehta hoon, meri jan, hijr sehraon mein rehta hai



وہ کہتی ہے تمھارے بعد بارش کیوں نہیں ہوتی
میں کہتا ہوں، میری جاں، ہجر صحراؤں میں رہتا ہے
Wo kehti hai tumhare baad barish kyun nahi hoti
Main kehta hoon, meri jan, hijr sehraon mein rehta hai

 
وہ کہتی ہے، تمہیں کیوں خوف آتا ہے ہواؤں سے
میں کہتا ہوں کہ سب چراغ تو ایسے ہی ہوتے ہیں
Wo kehti hai, tumhen kyun khauf ata hai hawaon se
Main kehta hoon ke sab chiragh to aise hi hote hain

 
وہ کہتی ہے چلو جاناں، ہوا کے ساتھ چلتے ہیں
میں خاموشی سے اس کے ساتھ چل دیتا ہوں بھجنے کو
Wo kehti hai chalo janan, hawa ke sath chalte hain
Main khamoshi se us ke sath chal deta hoon bhajne ko

 
وہ مجھ سے پوچھتی ہے، ہم اگر کچھ بھی نہیں ہیں تو
میں کہتا ہوں نہیں ہونا بھی ہوتا ہے جہانوں میں
Wo mujh se poochti hai, hum agar kuch bhi nahi hain to
Main kehta hoon nahi hona bhi hota hai jahanon mein


وہ بولی، درد کے اس پار بھی اک درد ہوتا ہے
میں اس کے بعد کتنی دیر تک کچھ بھی نہیں بولا
Wo boli dard ke us paar bhi ek dard hota hai
Main us ke baad kitni der tak kuch bhi nahi bola


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo