Bichhar ke tujh se kisi dosre pe marna hai Ye tajruba bhi isi zindagi mein karna hai
بچھڑ کے تجھ سے کسی دوسرے پہ مرنا ہے
یہ تجربہ بھی اسی زندگی میں کرنا ہے
Bichhar ke tujh se kisi dosre pe marna hai
Ye tajruba bhi isi zindagi mein karna hai
ہوا درختوں سے کہتی ہے دکھ کے لہجے میں
ابھی مجھے کئی صحراؤں سے گزرنا ہے
Hawa darkhton se kehti hai dukh ke lehje mein
Abhi mujhe kaiy sehraon se guzarna hai
میں منظروں کے گھنے پن سے خوف کھاتا ہوں
فنا کو دست محبت یہاں بھی دھرنا ہے
Main manzaron ke ghhane pan se khauf khhata hoon
Fana ko dast e muhabbat yahan bhi dharna hai
تلاش رزق میں دریا کے پنچھیوں کی طرح
تمام عمر مجھے ڈوبنا ابھرنا ہے
Talash e rizq mein dariya ke panchhiyon ki tarah
Tamam umr mujhe doobna ubherna hai
اداسیوں کے خد و خال سے جو واقف ہو
اک ایسے شخص کو اکثر تلاش کرنا ہے
Udasiyon ke khad o khal se jo waqif ho
Ek aise shakhs ko aksar talash karna hai
اسعد بدایونی
Asad Badayouni
Comments
Post a Comment