Kahin koi mujh pe mar gaya hai Mera bhi dil gham se bhar gaya hai



کہیں کوئی مجھ پہ مر گیا ہے
مرا بھی دل غم سے بھر گیا ہے
Kahin koi mujh pe mar gaya hai
Mera bhi dil gham se bhar gaya hai

 
طلب کا دریا بپھر گیا ہے
وفا کا پیمانہ بھر گیا ہے
Talab ka dariya biphar gaya hai
Wafa ka paimana bhar gaya hai

 
محبتوں کا نگار خانہ
رفاقتوں سے سنور گیا ہے
Muhabbaton ka nigar khana
Rafaqaton se sanwer gaya hai

 
تری نگاہوں کا تیر دلبر
مرے جگر تک اتر گیا ہے
Teri nigahon ka teer dilbar
Mere jigar tak uter gaya hai

 
کسی نے بھی ضابطہ ہے توڑا
تو جرم میرے ہی سر گیا ہے
Kisi ne bhi zabta hai tora
To jurm mere hi sar gaya hai

 
تمہاری یادوں کا سرد موسم
دل و نظر میں اتر گیا ہے
Tumhari yadon ka sard mausam
Dil o nazar mein uter gaya hai

 
لباس بن کر مرے بدن کا
وہ جسم و جاں پر بکھر گیا ہے
Libas ban kar mere badan ka
Wo jism o jan par bikhhar gaya hai

 
تمہاری محفل میں جو بھی آیا
گیا ہے تو چشمِ تر گیا ہے
Tumhari mehfil mein jo bhi aya
Gaya hai to chashm e tar gaya hai

 
نکل رہا تھا جو خوف دل سے
وہ جاتے جاتے ٹھہر گیا ہے
Nikal raha tha jo khauf dil se
Wo jate jate thehr gaya hai

 
کبھی جو اترا تھا آ کے دل میں
وہ شخص دل سے اتر گیا ہے
Kabhi jo utra tha aa ke dil mein
Wo shakhs dil se uter gaya hai

 
رجب وہ اپنوں نے دکھ دیے ہیں
کہ حوصلہ میرا مر گیا ہے
Rajab wo apnon ne dukh diye hain
Ke hausla mera mar gaya hai

 
رجب
یہ غیروں کے بس میں کب تھا
جو ہم نفس کام کر گیا ہے
Rajab ye ghairon ke bas mein kab tha
Jo hum nafs kaam kar gaya hai


رجب چوہدری
Rajab Chaudhry


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha