Pehle to apne dil ki raza jan jaiye Phir jo nigah yar kare, maan jaiye



پہلے تو اپنے دل کی رضا جان جائیے
پھر جو نگاہِ یار کہے مان جائیے
Pehle to apne dil ki raza jan jaiye
Phir jo nigah yar kare, maan jaiye

 
شاید حضور سے کوئی نسبت ہمیں بھی ہو
آنکھوں میں جھانک کر ہمیں پہچان جائیے
Shayed huzoor se koi nisbat humen bhi ho
Ankhon mein jhank kar humen pehchan jaiye

 
اک دھوپ سی جمی ہے نگاہوں کے آس پاس
یہ آپ ہیں تو آپ پہ قربان جائیے
Ek dhoop si jami hai nigahon ke aas paas
Ye ap hain to ap pe qurban jaiye

 
کچھ کہہ رہی ہیں آپ کے سینے کی دھڑکنیں
میرا نہیں تو دل کا کہا مان جائیے
Kuch keh rahi hain ap ke seene ki dharkanen
Mera nahi to dil ka kaha maan jaiye

 
اپنی غزل قتیلؔ وہ کوئل کی کوک ہے
جس کی تڑپ کو دور سے پہچان جائیے
Apni ghazal Qateel wo koyel ki kook hai
Jis ki tarap ko door se pehchan jaiye
 

قتیلؔ شفائی
Qateel Shifaiy


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha