Rahe ga ishq tera khak mein mila ke mujhe Ke ibtida mein huay ranj intiha ke mujhe
رہے گا عشق ترا خاک میں ملا کے مجھے
کہ ابتدا میں ہوئے رنج انتہا کے مجھے
Rahe ga ishq tera khak mein mila ke mujhe
Ke ibtida mein huay ranj intiha ke mujhe
دیے ہیں ہجر میں دکھ درد کس بلا کے مجھے
شبِ فراق نے مارا لٹا لٹا کے مجھے
Diye hain hijr mein dukh dard kis balaa ke mujhe
Shab e firaq ne mara lita lita ke mujhe
بغیر موت کے کس طرح کوئی مرتا ہے
یقیں نہ آئے تو وہ دیکھ جائیں آ کے مجھے
Baghair maut ke kis tarah koi marta hai
Yaqeen na aye to wo dekh jayen aa ke mujhe
بلائے عشق تو دشمن کو بھی نصیب نہ ہو
مرا رقیب بھی رویا گلے لگا کے مجھے
Balaa e ishq to dushman ko bhi naseeb na ho
Mera raqeeb bhi roya gale laga ke mujhe
کہا یہ دل نے چلو آج کوئے قاتل میں
اجل کہاں سے کہاں لے گئی لگا کے مجھے
Kaha ye dil ne chalo aj ki e qatil mein
Ajal kahan se kahan le gaiy laga ke mujhe
ہر ایک شخص کو حاصل جدا ہے کیفیت
جفا کے لطف تجھے ہیں، مزے وفا کے مجھے
Har aik shakhs ko hasil juda hai kaifiyet
Jafa ke lutf tujhe hain, maze wafa ke mujhe
غضب ہے آہ میری، داغؔ نام ہے میرا
تمام شہر جلاؤ گے کیا جلا کے مجھے
Ghazab hai aah meri, Dagh naam hai mera
Tamam shehr jalaa ge kia jalaa ke mujhe
مرزا داغ ﺩہلوی
Mirza Dagh Dehlvi
Comments
Post a Comment