Agarche do kinaron ka kahin sangam nahi hota Magar ek sath chalna bhi to koi kam nahi hota
اگرچہ دو کناروں کا کہیں سنگم نہیں ہوتا
مگر اک ساتھ چلنا بھی تو کوئی کم نہیں ہوتا
Agarche do kinaron ka kahin sangam nahi hota
Magar ek sath chalna bhi to koi kam nahi hota
بدن سے روح جاتی ہے تو بچھتی ہے صفِ ماتم
مگر کردار مر جائے تو کیوں ماتم نہیں ہوتا
Badan se rooh jati hai to bichhti hai saf e matam
Magar kirdar mar jaye to kyun matam nahi hota
ہزاروں ظلمتوں میں بھی جواں رہتی ہے لو اس کی
چراغِ عشق جلتا ہے تو پھر مدھم نہیں ہوتا
Hazaron zulmaton mein bhi jawan rehti hai lau is ki
Chiragh e ishq jalta hai to phir madham nahi hota
مداوا آپ ہو جاتا ہے اپنے درد کا اکثر
وہ جن زخموں کا دنیا میں کوئی مرہم نہیں ہوتا
Madawa ap ho jata hai apne dard ka aksar
Wo jin zakhmon ka duniya mein koi marham nahi hota
وہ آنکھیں اک لٹا گھر ہیں جہاں آنسو نہیں رہتے
وہ دل پتھر ہے جس دل میں کسی کا گھر نہیں ہوتا
Wo ankhen ek luta ghar hain jahan ansu nahi rehte
Wo dil patthar hai jis dil mein kisi ka ghar nahi hota
Comments
Post a Comment