Chhoti si berukhi pe shikayet ki bat hai Aur wo bhi is liye ke muhabbat ki bat hai



چھوٹی سی بے رُخی پہ شکایت کی بات ہے
اور وُہ بھی اِس لیے کہ مُحبّت کی بات ہے
Chhoti si berukhi pe shikayet ki bat hai
Aur wo bhi is liye ke muhabbat ki bat hai

 
مَیں نے کہا کہ آئے ہو کِتنے دِنوں کے بعد
کہنے لگے، حضور یہ فُرصت کی بات ہے
Main ne kaha ke aye ho kitne dinon ke baad
Kehne lage huzoor ye fursat ki bat hai


مَیں نے کہا کہ مِل کے بھی ہم کیوں نہ مِل سکے
کہنے لگے حضور یہ قِسمت کی بات ہے
Main ne kaha ke mil ke bhi hum kyun na mil sake
Kehne lage huzoor ye qismat ki bat hai


مَیں نے کہا کہ رہتے ہو ہر بات پر خفا
کہنے لگے، حضور یہ قُربت کی بات ہے
Main ne kaha ke rehte ho har bat par khafa
Kehne lage huzoor ye qurbat ki bat hai


مَیں نے کہا کہ دیتے ہیں دِل، تم بھی لاؤ دِل
کہنے لگے کہ یہ تو تجارت کی بات ہے
Main ne kaha ke dete hain dil, tum bhi lao dil
Kehne lage ke ye to tijarat ki bat hai


مَیں نے کہا، کبھی ہے سِتم اور کبھی کرم
کہنے لگے کہ یہ تو طبیعت کی بات ہے
Main ne kaha, kabhi hai sitam aur kabhi karam
Kehne lage ke ye to tabiyat ki bat hai


قمرؔ جلال آبادی
Qamar Jalal Abadi


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha