Dil ko zara qarar tha wo bhi nahi raha Ankhon ko intizar tha, wo bhi nahi raha



دل کو ذرا قرار تھا وہ بھی نہیں رہا
آنکھوں کو انتظار تھا، وہ بھی نہیں رہا
Dil ko zara qarar tha wo bhi nahi raha
Ankhon ko intizar tha, wo bhi nahi raha

 
وہ ساتھ تھا تو ساتھ میں میری بھی ذات تھی
میرا کہیں شمار تھا وہ بھی نہیں رہا
Wo sath tha to sath mein meri bhi zat thi
Mera kahin shumar tha, wo bhi nahi raha

 
اُس سے ہوئے جدا تو پھر خود کو بھی کھو دیا
خود پر جو اعتبار تھا وہ بھی نہیں رہا
Us se huay juda to phir khud ko bhi khho dia
Khud par jo aitbar tha wo bhi nahi raha

 
دامن میں کوئی چاند، ستارہ، نہ آفتاب
جگنو پر انحصار تھا وہ بھی نہیں رہا
Daman mein koi chaand, sitara, na aftab
Jugnu par inhisar tha wo bhi nahi raha

 
جھیلی تھیں جس کے سنگ ہی یہ رنجشیں کبھی
اک دل ہی غمگسار تھا وہ بھی نہیں رہا
Jhelum theen jis ke sang hi ye ranjishen kabhi
Ek dil hi ghamgusar tha wo bhi nahi raha

 
الجھا تھا میرے دل میں جو مدت سے اک سوال
لب پر جو بار بار تھا وہ بھی نہیں رہا
Uljha tha mere dil mein jo muddat se ek sawal
Lab par jo baar baar tha wo bhi nahi raha

 
جس پر چراغ روز جلاتی تھی رات کو
دل میں جو اک مزار تھا، وہ بھی نہیں رہا
Jis par chiragh roz jalati thi rat ko
Dil mein jo ek mazar tha, wo bhi nahi raha

 
مدت سے اُس کی راہ میں دل تھا بچھا ہوا
سوچوں میں وصلِ یار تھا، وہ بھی نہیں رہا
Muddat se us ki raah mein dil tha bichha hua
Sochon mein wasl e yar tha, wo bhi nahi raha

 
تقدیر کی اسیر ہوں، جس کے لیے یہ دل
مدت سے اشکبار تھا وہ بھی نہیں رہا
Taqdeer ki aseer hoon jis ke liye ye dil
Muddat se ashkbar tha, wo bhi nahi raha

 
معبود میرے، میرا مقدر تو دیکھ لے
خود پر جو اختیار تھا، وہ بھی نہیں رہا
Mabood mere, mera muqaddar to dekh le
Khud par jo ikhtiyar tha, wo bhi nahi raha


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha