Is tarah se dil e betab mein le ayen ge Hum taghaful ko bhi adaab mein le ayen ge



اس طرح سے دلِ بیتاب میں لے آئیں گے
ہم تغافل کو بھی آداب میں لے آئیں گے
Is tarah se dil e betab mein le ayen ge
Hum taghaful ko bhi adaab mein le ayen ge

 
پہلے ڈھونڈیں گے کسی خواب کی تعبیر کو ہم
پھر تجھے بھولے ہوئے خواب میں لے آئیں گے
Pehle dhoonden ge kisi khwab ki tabeer ko hum
Phir tujhe bhoole huay khwab mein le ayen ge

 
تجھ سے اے دوست، مرا ہاتھ چھڑانے کے لیے
تیرے دشمن تجھے گرداب میں لے آئیں گے
Tujh se ay dost, mera hath chhurane ke liye
Tere dushman tujhe gardab mein le ayen ge

 
صوفیہ زاہد
Sofia Zahid


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha

Kisi Bashar Mein Hazar Khami Agar Jo Dekho Tou Chup Hi Rehna