Jis ki jhankar mein dil ka aram tha wo tera naam tha Mere honton pe raqsan jo ek naam tha, wo tera naam tha



جس کی جھنکار میں دل کا آرام تھا وہ تیرا نام تھا
میرے ہونٹوں پہ رقصاں جو اک نام تھا، وہ تیرا نام تھا
Jis ki jhankar mein dil ka aram tha wo tera naam tha
Mere honton pe raqsan jo ek naam tha, wo tera naam tha

 
تہمتیں مجھ پہ آتی رہی ہیں کئی ایک سے ایک
خوبصورت مگر جو اک الزام تھا، وہ تیرا نام تھا
Tuhmaten mujh pe ati rahi hain kaiy aik se aik
Khoobsurat magar jo ek ilzam tha, wo tera naam tha

 
دوست جتنے بھی تھے، نا آشنا ہو گئے، پارسا ہو گئے
جو میرے ساتھ رسوا سرِ عام تھا وہ تیرا نام تھا
Dost jitne bhi thay, na ashna ho gaye, parsa ho gaye
Jo mere sath rusva sar e aam tha, wo tera naam tha

 
صبح سے شام تک جو میرے پاس تھا، وہ تیری آس تھی
شام کے بعد جو کچھ لبِ بام تھا وہ تیرا نام تھا
Subh se sham tak jo mere paas tha wo teri aas thi
Sham ke baad jo kuch lab e baam tha, wo tera naam tha

 
تیرے ہی نام سے ہے قتیلؔ آج شاعری کا ولی
اُس کے شعروں میں کل بھی جو الہام تھا، وہ تیرا نام تھا
Tere hi naam se hai Qateel aj sha’iri ka wali
Us ke sheron mein kal bhi jo ilham tha, wo tera naam tha

 
قتیلؔ شفائی
Qateel Shifaiy


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha