Khalish, ahen udasi aur zillat var jati hai Muhabbat jeet bhi jaye to qismat haar jati hai



خلش، آہیں اداسی اور ذلت وار جاتی ہے
محبت جیت بھی جائے تو قسمت ہار جاتی ہے
Khalish, ahen udasi aur zillat var jati hai
Muhabbat jeet bhi jaye to qismat haar jati hai

 
دکھوں کو سہتے ہیں سب ہی خموشی سے یہاں پر لوگ
کہ اس بستی کا شیوہ ہے بغاوت مار جاتی ہے
Dukhon ko sehte hain sab hi khamoshi se yahan par loag
Ke is basti ka sheva hai baghawat maar jati hai

 
نہیں خواہش کہ ہر صورت وہی میرا بنے لیکن
کسی کا ہو نہ جائے، بس یہ حسرت مار جاتی ہے
Nahi khwahish ke har soorat wohi mera bane lekin
Kisi ka ho na jaye bas ye hasrat maar jati hai

 
ترے یوں روک لینے سے قدم تو روک سکتی ہوں
مگر یہ دور کی لمبی مسافت مار جاتی ہے
Tere youn roak lene se qadam to roak sakti hoon
Magar ye door ki lambi musafat maar jati hai

 
کہ پروانہ وفا کرتے ہوئے ہی جان دیتا ہے
اسے جلتے چراغوں کی ہی قربت مار جاتی ہے
Ke parwana wafa karte huay hi jan deta hai
Usay jagte chiraghon ki hi qurbat maar jati hai

 
کسی کے ساتھ ہونے سے کسی کی یاد آتی ہے
جو آنکھوں میں بسائی تھی، وہ صورت مار جاتی ہے
Kisi ke sath hone se kisi ki yad ati hai
Jo ankhon mein basaiy thi, wo soorat maar jati hai

 
جہاں محبوب سے دوری فقط ہو اک قدم باقی
وہاں رسموں رواجوں کی حماقت مار جاتی ہے
Jahan mehboob se doori faqat ho ek qadam baqi
Wahan rasmon rivajon ki hamaqat maar jati hai

 
صوفیہ زاہد
Sofia Zahid


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha

Kisi Bashar Mein Hazar Khami Agar Jo Dekho Tou Chup Hi Rehna