Khwabon sa koi khwab banane mein lagi hoon Ek dasht mein hoon, piyas bujhane mein lagi hoon



خوابوں سا کوئی خواب بنانے میں لگی ہوں
اک دشت میں ہوں، پیاس بُجھانے میں لگی ہوں
Khwabon sa koi khwab banane mein lagi hoon
Ek dasht mein hoon, piyas bujhane mein lagi hoon

 
بتلاؤ کوئی اسم مجھے ردِ بلا کا
میں آخری کردار نبھانے میں لگی ہوں
Batlao koi ism mujhe rad e balaa ka
Main akhri kirdar nibhane mein lagi hoon

 
وه صحن میں افلاک لیے کب سے کھڑا ہے
میں چھت پہ ہوں، بادل کو اُڑانے میں لگی ہوں
Wo sehn mein aflak liye kab se khhara hai
Main chhat pe hoon, baadal ko urane mein lagi hoon

 
اک عمر ہوئی پیڑ پہ دو نام لکھے تھے
اک عمر سے وہ نام مٹانے میں لگی ہوں
Ek umr hui per pe do naam likhhe thay
Ek umr se wo naam mitane mein lagi hoon

 
رکنے نہ کبھی پائے سفر روشنیوں کا
دریا میں چراغوں کو بہانے میں لگی ہوں
Rukne na kabhi paye safar raushniyon ka
Dariya mein chiraghon ko bahane mein lagi hoon

 
جس وقت سے آنے کا سُنا ہے تیرا گھر میں
چیزوں کو میں رکھنے میں، اُٹھانے میں لگی ہوں
Jis waqt se anay ka suna hai tera ghar mein
Cheezon ko main rakhni mein, uthane mein lagi hoon

 
بُجھنے کو ہے اب خالی دیا عمرِ رواں کا
میں ہوں کہ ہواؤں کو منانے میں لگی ہوں
Bujhne ko hai ab khali diya umr e ravan ka
Main hoon ke hawaon ko manane mein lagi hoon

 
شاہدہ دلاور شاہ
Shahida Dilawar Shah


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha

Kisi Bashar Mein Hazar Khami Agar Jo Dekho Tou Chup Hi Rehna