Na muddaton juda rahe, na sath subh sham ho Na rishta e wafa pe zid na ye ke izn e aam ho



نہ مدتوں جدا رہے، نہ ساتھ صبح شام ہو
نہ رشتۂ وفا پہ ضد، نہ یہ کہ اذنِ عام ہو
Na muddaton juda rahe, na sath subh sham ho
Na rishta e wafa pe zid na ye ke izn e aam ho

 
نہ ایسی خوش لباسیاں کہ سادگی گِلہ کرے
نہ اتنی بے تکلفی کہ آئینہ حیا کرے
Na aisi khush libasiyan ke sadgi gila kare
Na itni be takallufi ke aiyna haya kare

 
نہ اختلاط میں وہ رَم کہ بد مزہ ہوں خواہشیں
نہ اس قدر سپردگی کہ زچ کریں نوازشیں
Na ikhtilat mein wo ram ke bad maza hon khwahishen
Na is qadar supurdagi ke zich karen nawazishen

 
نہ عاشقی جنون کی کہ زندگی عذاب ہو
نہ اس قدر کٹھور پن کہ دوستی خراب ہو
Na ashiqi junoon ki ke zindagi azab ho
Na is qadar kathor pan ke dosti kharab ho


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha