Ye samundar hai kinare hi kinare jao Ishq har shakhs ke bas ka nahi pyare, jao



یہ سمندر ہے کنارے ہی کنارے جاؤ
عشق ہر شخص کے بس کا نہیں پیارے، جاؤ
Ye samundar hai kinare hi kinare jao
Ishq har shakhs ke bas ka nahi pyare, jao

 
یوں تو مقتل میں تماشائی بہت آتے ہیں
آؤ اس وقت کہ جس وقت پکارے جاؤ
Youn to maqtal mein tamashaiy bohat atay hain
Aao us waqt ke jis waqt pukare jao


دل کی بازی لگے پھر جان کی بازی لگ جائے
عشق میں ہار کے بیٹھو نہیں ہارے جاؤ
Dil ki bazi lage phir jan ki bazi lag jaye
Ishq mein haar ke baitho nahi, haare jao

 
کام بن جائے اگر زلف جنوں بن جائے
اس لیے اس کو سنوارو کہ سنوارے جاؤ
Kaam ban jaye agar zulf junoon ban jaye
Is liye is ko sanwaro ke sanware jao

 
کوئی رستہ، کوئی منزل اسے دشوار نہیں
جس جگہ چاہو، محبت کے سہارے جاؤ
Koi rasta koi manzil isay dushwar nahi
Jis jagah chaho, muhabbat ke sahare jao


ہم تو مٹی سے اگائیں گے محبت کے گلاب
تم اگر توڑنے جاتے ہو ستارے جاؤ
Hum to mitti se ugayen ge muhabbat ke gulab
Tum agar torne jate ho sitare jao


ڈوبنا ہو گا اگر ڈوبنا تقدیر میں ہے
چاہے کشتی پہ رہو، چاہے کنارے جاؤ
Doobna ho ga agar doobna taqdeer mein hai
Chahe kishti pe raho chahe kinare jao

 
تم ہی سوچو، بھلا یہ شوق کوئی شوق ہوا
آج اونچائی پہ بیٹھو کل اتارے جاؤ
Tum hi socho, bhalaa ye shauq koi shauq hua
Aj oonchaiy pe baitho kal utare jao


موت سے کھیل کے کرتے ہو محبت عاجزؔ
مجھ کو ڈر ہے، کہیں بے موت نہ مارے جاؤ
Maut se khhel ke karte ho muhabbat
Aajiz
Mujh ko dar hai, kahin be maut na maare jao

 
کلیم عاجزؔ
Kaleem Aajiz


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha

Kisi Bashar Mein Hazar Khami Agar Jo Dekho Tou Chup Hi Rehna