Yehi dua hai, yehi hai salam, ishq bakhair Mere sabhi rufaqa e kiram ishq bakhair
یہی دعا ہے، یہی ہے سلام، عشق بخیر
مرے سبھی رفقائے کرام عشق بخیر
Yehi dua hai, yehi hai salam, ishq bakhair
Mere sabhi rufaqa e kiram ishq bakhair
دیار ہجر کی سونی اداس گلیوں میں
پکارتا ہے کوئی صبح و شام، عشق بخیر
Diyar e hijr ki sooni udas galiyon mein
Pukarta hai koi subh o sham, ishq bakhair
میں کر رہا تھا دعا کی گزارشیں اس سے
سو کہہ گئی ہے اداسی کی شام، عشق بخیر
Main kar raha tha dua ki guzarishen us se
So keh gaiy hai udasi ki sham, ishq bakhair
بڑے عجیب ہیں شہر جنوں کے باشندے
ہمیشہ کہتے ہیں بعد از سلام عشق بخیر
Bare ajeeb hain shehr e junoon ke bashinde
Hamesha kehte hain baad az salam, ishq bakhair
یہ رہ ضرور تمہارے ہی گھر کو جاتی ہے
لکھا ہوا ہے یہاں گام گام، عشق بخیر
Ye reh zarur tumhare hi ghar ko jati hai
Likhha hua hai yahan gam gam, ishq bakhair
بیان کی ہے غزل وار داستان عشق
سو اس کتاب کا رکھا ہے نام، عشق بخیر
Bayan ki hai ghazal var dastan e ishq
So is kitab ka rakha hai naam, ishq bakhair
افق کے پار مجھے یاد کر رہا ہے کوئی
ابھی ملا ہے ادھر سے پیام، عشق بخیر
Ufaq ke paar mujhe yad kar raha hai koi
Abhi mila haiudhar se payam, ishq bakhair
رحمان فارس
Rahman Faris
Comments
Post a Comment