Yehi dukh hai ke wo thehra nahi hai So zakhm itna bhi ab gehra nahi hai
یہی دکھ ہے کہ وہ ٹھہرا نہیں ہے
سو زخم اتنا بھی اب گہرا نہیں ہے
Yehi dukh hai ke wo thehra nahi hai
So zakhm itna bhi ab gehra nahi hai
وہ خط کو کھول کر تو دیکھ لیتا
وہاں پر جب کوئی پہرہ نہیں ہے
Wo khat ko khhol kar to dekh leta
Wahan par jab koi pehra nahi hai
جلادے گی مگر بنجر نہ ہو گی
محبت آگ ہے، صحرا نہیں ہے
Jalaa de gi magar banjar na ho gi
Muhabbat aag hai, sehra nahi hai
صوفیہ زاہد
Sofia Zahid
Comments
Post a Comment